ek baat yahi shukr manane ke liye hai

ek baat yahi shukr manane ke liye hai
ab pas nahin kuchh bhi ganwane ke liye hai

us ko ye suhulat hai ki jab chahe wo ruthe
wo jaanta hai koi manane ke liye hai

ye baad-e-saba khushbu parindon ki sadaen
har shai use khidki pe bulane ke liye hai

kuchh ped hare rahte hain patjhad ho ki sawan
chehre pe tabassum ye batane ke liye hai

har sher mein aa jata hai kyon zikr usi ka
ye shauq-e-sukhan jis ko bhulane ke liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close