ek bar apna zarf-e-nazar dekh lijiye

ek bar apna zarf-e-nazar dekh lijiye
phir chahe jis ke aib-o-hunar dekh lijiye

kya jaane kis maqam pe kis shai ki ho talab
chalne se pahle zad-e-safar dekh lijiye

ho jaega khud aap ko ehsas be-rukhi
gar aap mera zakhm-e-jigar dekh lijiye

sab ki taraf hai aap ki chashm-e-nawazishat
kash ek bar aap idhar dekh lijiye

tare main tod launga aakash se magar
shafqat se aap bazu-o-par dekh lijiye

jamhuriyat ka dars agar chahte hain aap
koi bhi saya-dar shajar dekh lijiye

ho jaegi haqiqat-e-shams-o-qamar ayan
un ko nigah bhar ke agar dekh lijiye

ye barq-e-hadisat bhi kya zulm dhaegi
uthne lage gulon se sharar dekh lijiye

'ajiz' chali hain aisi tassub ki aandhiyan
ujde hue nagar ke nagar dekh lijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close