ek barg-e-KHushk se gul-e-taza tak aa gae

ek barg-e-khushk se gul-e-taza tak aa gae
hum shahr-e-dil se jism ke sahra tak aa gae

us sham dubne ki tamanna nahin rahi
jis sham tere husn ke dariya tak aa gae

kuchh log ibtida-e-rifaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae

ye kya ki tum se raaz-e-mohabbat nahin chhupa
ye kya ki tum bhi shauq-e-tamasha tak aa gae

bezari-e-kamal se itna hua ki hum
aaram se zawal-e-tamanna tak aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close