ek bas tu nahin milta hai mujhe khone ko warna kya kuchh nahin hota hai yahan hone ko dekh bedard zamane ki zabun-haali dekh ek shana nahin milta hai jahan rone ko raat-bhar khud se gale mil ke bahut roti hun jhute munh bhi nahin kahta hai koi sone ko kitni maili hai hawasnak nigahon ki chamak ki samundar bhi bahut kam hai jise dhone ko is ko bhi hijr ka tawan to bharna hoga koi dam mein hai mukafat-e-amal hone ko meri aawaz bhi mujh tak nahin pahunchegi jahan main ne apne liye rakkha hai isi kone ko kaise viran hain patthar se bhare khet mere hal chalane ko nahin bij nahin bone ko koi kis tarah mere haal se waqif hota meri aankhon mein koi ashk na tha rone ko kho gae khwab to aisi bhi badi baat nahin main ne baqi hi kahan chhoda hai kuchh khone ko aasmanon mein kise dhund rahi hun 'sima' wo to baitha hai mere dil mein khuda hone ko