ek chehra bana liya sahib apna rasta bana liya sahib awwal awwal to bad-guman rahe phir watira bana liya sahib aap jaison ki mehrbani hai apne jaisa bana liya sahib aaina dekhna nahin padta khud ko pura bana liya sahib khushk dariya ke naqsh khinche hain aur sahra bana liya sahib ek dariya utarne wala tha ek dariya bana liya sahib