ek-dam khushk mera dida-e-tar hai ki nahin majare se mere tujh ko bhi khabar hai ki nahin yun to uthte hai mere dil se hazaron nale lekin in khana-kharabon mein asar hai ki nahin haal mera tujhe be-dard nahin gar bawar dekh le aa ke ki ab nau-e-digar hai ki nahin mere ghar kyunki tu aawe ki gali-kuchon mein tere mushtaq kahan aur kidhar hai ki nahin tujh mein bu pai na mutlaq kahin jinsiyyat ki nasl-e-adam se tu ai shokh pisar hai ki nahin bul-hawas dil ko kar apne zara bas mein 'hasrat' mard-e-be-sabr tujhe kuchh bhi jigar hai ki nahin