ek dariya rawan nahin milta warna sahil kahan nahin milta sahn hai ya faqat daricha hai ab mukammal makan nahin milta barishen kitni tez lagti hain jab kahin saeban nahin milta raushni be-sahar bhi hoti hai har sharar ko dhuan nahin milta sirf gham ki zamin hoti hai hijr mein aasman nahin milta ai khuda tujh se hat ke kya sochun dar koi darmiyan nahin milta