ek dikhawa rah gaya bas dil se wo chahat gai qais sahra mein gaya to ghairat-e-wahshat gai ek haalat thi meri aur ek haalat dil ki thi meri haalat to wahi hai dil ki wo haalat gai chand ne dil ki khalish ko chandni ki shakl di hae meri be-dili se kaisi shai ghaarat gai mahmil-e-laila ke pichhe gard thi aur qais tha is sarab-e-arzu mein hijr ki izzat gai ek kante ki khatak se dil mera aabaad tha wo gaya to dil se mere dard ki rahat gai bas buri niyyat ke phal ka ek kasila zaiqa ishq goya rizq tha niyyat gai barkat gai