ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam zindagi kya hai khushi se jal ke mar jaane ka nam aql hai bil-maslahat be-aitmadi ki rawish ishq hai be-sakhta iman le aane ka nam aagahi kya hai musalsal khud-farebi ka chalan raushni kya hai fareb mustaqil khane ka nam khamushi uryani-e-mafhum ka tabish-kada guftugu mashuq ko malbus pahnane ka nam ab mujhe dar-o-rasan ki samt mudne dijiye aap ne khud to chuna tha mere afsane ka nam khwahishon ki ibtida ghunche chatakhne ki sada khwahishon ki intiha phulon ke murjhane ka nam dost-dari ka ye pairaya bhi kya dilchasp hai le rahe hain samne mere wo begane ka nam hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab shama ke hamrah aa jata hai parwane ka nam