ek din khud ko apne pas bithaya hum ne pahle yar banaya phir samjhaya hum ne khud bhi aakhir-kar unhi wadon se bahle jin se sari duniya ko bahlaya hum ne bhid ne yunhi rahbar man liya hai warna apne alawa kis ko ghar pahunchaya hum ne maut ne sari raat hamari nabz tatoli aisa marne ka mahaul banaya hum ne ghar se nikle chauk gae phir park mein baithe tanhai ko jagah jagah bikhraya hum ne in lamhon mein kis ki shirkat kaisi shirkat use bula kar apna kaam badhaya hum ne duniya ke kachche rangon ka rona roya phir duniya par apna rang jamaya hum ne jab 'shaariq' pahchan gae manzil ki haqiqat phir raste ko raste bhar uljhaya hum ne