ek etimad ajab sa yaqin pe rakhta hun

ek e'timad ajab sa yaqin pe rakhta hun
wo kya hai main jise apni jabin pe rakhta hun

yahi to baat hui ja rahi hai mere khilaf
kahin pe milti hai ek shai kahin pe rakhta hun

jo chiz dekhne ki hai wo bar bar rahe
main is tarah ka tamasha zamin pe rakhta hun

ghubar hoti hui ja rahi hai ye duniya
hai han ka shaiba jis ko nahin pe rakhta hun

kise khabar hai ye kis waqt kaam aa jae
hai khak khak jise aastin pe rakhta hun

hawa ho ya ki na ho 'tur' main charagh-e-ishq
hun chahta jahan rakhna wahin pe rakhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close