ek falak aur hi sar par to bana sakte hain kurra-e-arz ko behtar to bana sakte hain ruh mein jis ne ye dahshat si macha rakkhi hai us ki taswir guman bhar to bana sakte hain ashk se khak hui tar yahi bas kafi hai ek be-jaan sa paikar to bana sakte hain hum agar ahl nahin ped ke phal khane ke shakh-e-sarsabz ko khanjar to bana sakte hain sach hai hum girya-kunan kuchh bhi nahin kar sakte regzaron ko samundar to bana sakte hain aatish o nur se bijli ke rahen kyun mahrum hum sar-e-dasht naya ghar to bana sakte hain garche parwaz ki quwwat nahin khwahish hai bahut hum khayalat ko shahpar to bana sakte hain lala-gun manzar-e-shadab sarabon mein bhi qulzum-e-khun ho mayassar to bana sakte hain