ek ham-surat farishta raat-bhar kahta raha

ek ham-surat farishta raat-bhar kahta raha
dastan sunta na tha main wo magar kahta raha

aaj aae dard ki shakhon pe ruswai ke phul
main darakhton ko abhi tak be-samar kahta raha

yaad us ki aasmanon par pahunch kar aai hai
ek pagal jo kahan hai mera ghar kahta raha

ab to wo bhi dushmanon ki dastaras mein ja chuka
kya isi din ke liye sahra ko ghar kahta raha

jo buzurgon ne sunae aur thak kar so gae
main wahi qisse ba-alfaz-e-digar kahta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close