ek hasin dilkash mohabbat hum ne ki yun mukammal ek ibaadat hum ne ki ain se hai qaf tak ka jo safar is safar mein tai masafat hum ne ki kyon na sapne mein tera hum nam len raat-din is ki riyazat hum ne ki bewafa kah kar hamein wo chal diya kab amanat mein khayanat hum ne ki ishq ke aaghaz mein kuchh yun hua muqtadi wo the imamat hum ne ki wo qayamat hum qayamat mil gae yun qayamat par qayamat hum ne ki