ek hi bar nahin hai wo dobara kam hai main wo dariya hun jise apna kinara kam hai wahi takrar hai aur ek wahi yaksani is shab-o-roz mein ab apna guzara kam hai mere din raat mein karna nahin ab is ko shumar hissa-e-umr koi main ne guzara kam hai main ziyaada hun bahut us ke liye ab tak bhi aur mere liye wo sare ka sara kam hai us ki apni bhi tawajjoh nahin mujh par koi khas aur main ne bhi abhi us ko pukara kam hai aaj pani jo uchhalta nahin pahle ki tarah aisa lagta hai ki is mein koi dhaara kam hai hath pair aap hi main mar raha hun filhaal dubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai main to rakhta hun bahut roz ke roz in ka hisab aasman par koi aaj ek sitara kam hai pesh-raft aur abhi mumkin bhi nahin hai ki 'zafar' abhi us shokh pe kuchh zor hamara kam hai