ek hum hi to nahin aabla-pa aawara nighat-e-gul bhi hui baad-e-saba aawara ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin koi phirta hai sar-e-shahr-e-wafa aawara kaun manzil ki khabar de kise manzil ki khabar rah-rau aabla-pa rah-numa aawara dil dhadakta hai sar-e-sham ki guzrega abhi wadi-e-shab se koi naghma-sara aawara ab koi kis se kahe kaifiyyat-e-zakhm-e-bahaar sabza begana hai gul chup hain saba aawara