ek hum saKHawat mein ghar ka ghar luTa baiThe

ek hum sakhawat mein ghar ka ghar luta baithe
ek wo khayanat se apna ghar saja baithe

raushni ka zimma jo apne sar liya hum ne
aur kuchh na sujha to apna ghar jala baithe

apne haar jaane ka gham nahin zara mujh ko
gham hai mere apne bhi dushmanon mein ja baithe

kis qadar bharosa tha un ko zat-e-aqdas par
yunhi thodi apni wo kashtiyan jala baithe

kal jo hans ke milte the munh chhupae phirte hain
shams' aap kyon un ko aaina dikha baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close