ek ek qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal duniya ki aarzu hai to duniya se bach ke chal khud dhundh lega tujh ko tera munfarid maqam rah-e-talab mein naqsh-e-kaf-e-pa se bach ke chal baqi hai mere dil mein abhi azmat-e-wajud qatre se kah raha hun ki dariya se bach ke chal milti nahin hai rah-e-sukun khauf-o-yas mein gulshan ki justuju hai to sahra se bach ke chal munh jada-e-wafa se na mod ai wafa-shiar lekin hudud-e-chashm-e-tamasha se bach ke chal kitni hasin hain un ke sitam ki masarraten shukr-e-karam ki zahmat-e-be-ja se bach ke chal lamhe udas udas fazaen ghuti ghuti duniya agar yahi hai to duniya se bach ke chal apne adab pe naz hai tujh ko agar 'shakil' maghrib-zada adib ki duniya se bach ke chal