ek kafir-e-maghrur dil-aram hai mera kahte hain jise kufr wo islam hai mera kanton pe litaya jo mujhe meri khata kya dar haq se ki kahlata tu gulfam hai mera aiwan se mere takht utha lijiye jaldi mitti hi mein mil jaana gar anjam hai mera kaisi hai chamak mere siyah-khana-e-dil mein shayad ki yahan basta khush-andam hai mera main tadpun to aaram se baithoge na tum bhi 'nayab' rahe yaad tumhein nam hai mera