ek khala sa hai jidhar dekho idhar kuchh bhi nahin aasman kaun-o-makan diwar-o-dar kuchh bhi nahin badhta jata hai andhera jaise jadu ho koi koi padh lije dua lekin asar kuchh bhi nahin jism par hai kaun se ifrit ka saya sawar bhagta hai sar se dhad jaise ki sar kuchh bhi nahin har naya rasta nikalta hai jo manzil ke liye hum se kahta hai purani rahguzar kuchh bhi nahin ehtimam-e-zindagi se hain ye sab naqsh o nigar warna ghar kuchh bhi nahin diwar-o-dar kuchh bhi nahin ghar mein apne sath jab rakkhoge 'amir' dekhna jis ko tum kahte ho ab rashk-e-qamar kuchh bhi nahin