ek khana-e-matam hi ye aalam to nahin hai taqdir-e-bashar nauha-e-paiham to nahin hai naghmat-e-masarrat bhi hain lamhat-e-tarab bhi ye sham-e-alam wirsa-e-adam to nahin hai khushbu ka tabassum bhi hai rangon ki hansi bhi gulshan mein faqat girya-e-shabnam to nahin hai kuchh aur bhi jazbe hain jo dildar hain dil ke ek gham hi dil-e-zar ka marham to nahin hai ek shama andheron mein abhi tak hai farozan go tez nahin raushni maddham to nahin hai ek chashma-e-tanwir bhi phutega yahin se mayus shab-e-tar se 'akram' to nahin hai