ek khidki gali ki khuli raat bhar muntazir jaane kis ki rahi raat bhar hum jalate rahe apne dil ke diye tirgi qatl hoti rahi raat bhar meri aankhon ko kar ke ata ratjage meri tanhai soti rahi raat bhar ek khushbu daraazon se chhanti hui dastaken jaise deti rahi raat bhar dil ke andar koi jaise chalta raha chap qadmon ki aati rahi raat bhar ek tahrir jo us ke hathon ki thi baat wo mujh se karti rahi raat bhar ek surat 'ali' thi jo jaan-e-ghazal mere sheron mein dhalti rahi raat bhar