ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai

ek lamha jo kate dusra phir bhaari hai
hui ek umr ki apni tag-o-dau jari hai

kah ke ye mujh se ki is shahr mein ho tum kab se
int sar par kisi ne jaise ki de mari hai

aur le aae ho tum baaten ye duniya bhar ki
apni baaton se yahan pahle hi be-zari hai

koi jis baat se khush hai to khafa dusra hai
kuchh bhi kahne mein kisi se yahi dushwari hai

sath le len ye zara khud ko to bas chalte hain
aur rahne ke nahin chalne ki tayyari hai

dad jab madd-e-muqabil ke sukhan ki di aaj
dost kahte hain ki matlab ki taraf-dari hai

khud ko ya dusron ko 'talkh' pareshan na karo
kuchh nahin tum ko faqat jine ki bimari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close