ek lau thi mere khun mein tahlil to ye thi ek barq si rau thi meri qindil to ye thi tere rukh-e-khamosh se meri rag-e-jaan tak jo kaam kiya aankh ne tarsil to ye thi banna tha to banta na farishta na khuda main insan hi banta meri takmil to ye thi sanpon ke tasallut mein the chidiyon ke basere maftuh gharane! teri tamsil to ye thi tile ka khandar sadiyon ki tarikh liye tha ijmal batata tha ki tafsil to ye thi wo jaanta tha sajda faqat tujh ko rawa hai palta na phir is hukm se tamil to ye thi ek khwab dhundlakon mein bikharta hua 'kausar' aakhir rukh-e-tabir ki tashkil to ye thi