ek manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyar hai chehre bata rahe hain dilon mein ghubar hai main sun raha hun badhti hui shorishon ki chap duniya samajh rahi hai faza sazgar hai chal mere sath aur qadam tol tol kar sabr-o-raza ki rah badi pechdar hai din aaj ka sukun se guzar jae fikr kar har aane wale kal ka kise e'tibar hai is aas ko sambhaal ke fanus-e-dil mein rakh jis aas par hayat ka dar-o-madar hai tartib de rahe hain charaghon ki anjuman wo log subh-e-nau ka jinhen intizar hai ai 'saz' kuchh-na-kuchh to hai is lutf-e-khas mein zikr un ki anjuman mein mera bar bar hai