ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha warna dil ka marna aasan tha mushkil na tha shauq-e-azadi mein tadpun us pe raazi dil na tha warna betabi salamat chhutna mushkil na tha hashr mein wo sar jhukae hain main shikwa kya karun jaane wali jaan thi mera koi qatil na tha ab sulaimani kise kahte hain batla de mujhe ek aalam tha teri mutthi mein mera dil na tha de sada ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar aise bhi dar hain kabhi jin par koi sail na tha khas waqt-e-yaad-e-gulshan aur mera chhedna shab ko bhi sayyaad mere zabh se ghafil na tha subh-o-sham-e-gham ne daman bhar ke bheja dahr se warna is umr-e-do-roza ka koi hasil na tha us ki qudrat na-tawanon ko bhi deta hai uruj aasman se sar chadhe nala to is qabil na tha tere naqshe ne bhi furqat mein na bahlaya mujhe sham-e-gham jab aai gurdon par har kaamil na tha dekh lete do qadam chal kar ki matlab tha yahi dar pe jo aaya tha wo bimar tha sail na tha qalb-e-sozan aur hi dhoka na khana dahr mein rah gaya jo aag de kar sang tha wo dil na tha kuchh sambhal jata agar karwat badal jate meri ye mujhe dushwar tha un ke liye mushkil na tha dubta tha dil shab-e-wasl aa chuki thi ta-sahar ek tinke ka sahaara bhi lab-e-sahil na tha is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr mein kaun sa din tha ki main aawara-e-manzil na tha ek jalti shama uthwa di bahut achchha kiya sokhta-dil tha main koi raunaq-e-mahfil na tha sham-e-gham jis mein rahe barson wahan kya id ho wo to aa jae magar ye dil hi is qabil na tha juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'saqib' kya kahun zindagi se shai kabhi us par bhi dil mail na tha