ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat gardishen aaj bhi lipti hain safar ki surat qafas-e-jaan mein na rauzan hai na dar ki surat kaise dekhun main yahan shams-o-qamar ki surat ab yahi jang ka unwan bhi ho sakta hai us ne patthar koi phenka hai khabar ki surat man ki aaghosh se paiwand-e-zamin hone tak aaine hum ne tarashe hain safar ki surat makadiyan apne hi jalon mein phansi baithi hain abhi kal tak to na thi ye mere ghar ki surat roz akhbar uthate hain yahi soch ke hum koi muzhda nazar aae to khabar ki surat hum 'ziya' sar ko bachaen to bachaen kaise us ka har war numayan hai hunar ki surat