ek mushkil kitab jaisi thi zindagi ek azab jaisi thi hum ko to khar hi mile lekin ye suna tha gulab jaisi thi ghunt dar ghunt pi to ye jaana ek kadwi sharab jaisi thi aai hisse mein jo yatimon ke wo to khana-kharab jaisi thi umr bhar hum sahejte the jise ek khasta kitab jaisi thi koi tabir hi na ho jis ki ek adhure se khwab jaisi thi hai shikasta si aaj ye lekin bachpane mein nawab jaisi thi tum ne dekhi nahin jawani mein zindagi aaftab jaisi thi