ek na ek din jo kabhi mujh se mohabbat hogi dekh lena tumhein khud apne pe hairat hogi jaane kab aaenge wo zakhm-e-jigar par hansne jaane kis roz mere dard mein barakat hogi rashk-angez hai firdaus teri aankhon par is se behtar bhi bhala kya koi jannat hogi ek bas teri talab hai tujhe pa lun jaanan phir kisi shai ki kahan mujh ko zarurat hogi shikwa-e-ishq pe itne bhi pareshan hain kyon aap apne hain to lazim hai shikayat hogi