ek nadi mein saikDon dariya ki tughyani mili

ek nadi mein saikdon dariya ki tughyani mili
dubne wale ko mar jaane ki aasani mili

hashiya-bardar se puchha samundar ne miyan
aaj tak ek mauj bhi tum ko na diwani mili

sar-phiri pagal hawa ko rokna dushwar tha
ek hi din ke liye thi us ko sultani mili

tishna-lab talab ne baadal ko phir dhoka diya
phir wahi sahra wahi sahra ki virani mili

har safar se kashtiyon ka lautna mumkin nahin
kya pata kab lahr koi dushman-e-jaani mili

aage pichhe sab ko maqtal se guzarna hai 'zafar'
kyun samajhte hain ki hum ko hi pareshani mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close