ek nae dhang se tartib de maikhane ko saqiya der na kar tod de paimane ko apni qismat mein kahan wasl ki ghadiyan ai dost ye ghanimat hai ki aa jate hain maikhane ko ab chalega na teri mast nazar ka jadu surkhiyan khun ki darkar hain afsane ko sahte aae hain kuchh is tarah se duniya ke sitam jaise baithe hain har ek zulm ke sah jaane ko ek zara sabr teri zulfon ke saye ke tale aaenge hum bhi dil-e-zar ke bahlane ko muskura ai gham-e-dauran ki wo daur aa pahuncha kakul-e-zist hain khud aap sanwar jaane ko tang aa kar gham-o-alam jahan se hasrat aa gae hain teri mahfil mein ghazal gane ko