ek nai shan se phir jashn-e-bahaaran hona gulistan tujh ko mubarak ho bayaban hona phul ke rup mein kanton ne hamein pala hai hum ko aaya na kabhi gham se pareshan hona mere ashaar ne pighla din kisi ki aankhen ek but ko bhi mayassar hua insan hona rampur ai mere tahzib-o-tamaddun ke dayar ho mubarak tujhe urdu ka dabistan hona hum ne saunpi hai unhen apni hifazat ai 'hosh' jin ko aaya nahin khud apni nigahban hona