ek nashtar-e-nazar ke talabgar hum bhi hain data ho tum ghamon ke to gham-khwar hum bhi hain hairan khade hue unhin rahon mein hain hanuz ai rahrawan-e-kucha-e-dil-dar hum bhi hain dariya samajh liya jise nikla wahi sarab ek harf-e-tishnagi ke gunahgar hum bhi hain munh rah-e-najd-e-shauq se moda nahin abhi han jurm-e-khastagi ke khatawar hum bhi hain is bagh mein ki zagh-o-zaghan hain amin-e-gul khamosh dekhne ke saza-war hum bhi hain