ek nau-bahaar-e-naz ko mehman karenge hum har dagh-e-dil ko rashk-e-gulistan karenge hum saghar mein nur-e-dida-e-anjum undel kar phir tirgi-e-gham mein charaghan karenge hum ud jaengi faza mein bahaaron ki dhajjiyan jis waqt tar tar gareban karenge hum kahte hain aasman pe wo zulfen bikher kar jhulsi hui zamin pe ehsan karenge hum ji bhar ke hum ko kar le pareshan aasman ek roz aasman ko pareshan karenge hum ai waqt san ki aaega jab bhi hamara waqt tufan ko mauj mauj ko tufan karenge hum jab tak hamare samne jam-e-sharab hai barham mizaj-e-gardish-e-dauran karenge hum wo aarzu ki dil se zaban tak na aa sake kuchh is ka tazkira bhi meri jaan karenge hum dur khizan se koi kahe ja ke a 'majid' phir ehtimam-e-jashn-e-bahaaran karenge hum