ek pal mein kya kuchh badal gaya jab be-khabron ko khabar hui main tanhai mein chhupa raha jab mujh par us ki nazar hui ek chand chamak kar chala gaya phir kitni ghadiyan guzar gain mujh ko to kuchh bhi khabar na thi kab raat hui kab sahar hui thi husn ki chhab ek ajab ada jab phul sa chehra mahak utha wo manzar mujh ko jacha bahut phir umr usi mein basar hui aana bhi tera ghazab hua is shahr ka manzar badal gaya bhaunchaal sa aaya gali gali har chiz idhar se udhar hui ye rog laga hai ajab hamein jo jaan bhi le kar tala nahin har ek dawa be-asar gai har ek dua be-asar hui