ek raat hai ab tak aankhon mein meri nind ka gham karne ke liye

ek raat hai ab tak aankhon mein meri nind ka gham karne ke liye
kai khwab sirhane baithe hain rudad raqam karne ke liye

kabhi rang bana kabhi nur hua gahe khamoshi gahe shor hua
har rup mein dhaala hai khud ko tera rup baham karne ke liye

kai aankhen mujh mein jag uthin kai mausam mujh mein aa nikle
mere khwab nae karne ke liye meri wahshat kam karne ke liye

main barson se koi khushk zamin mera tan-man goya banjar sa
phir yun hai ki ek barsat hui meri mitti nam karne ke liye

nae sher kaho mere sher-guru koi ishq-charagh karo raushan
har manzar-e-harf-o-saut pe chhai dhund ko kam karne ke liye

inkar ke sahra mein tanha main na-mumkin ek shakhs 'nabil'
waise to kai tufan uthe meri gardan kham karne ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close