ek rahzan ko amir-e-karwan samjha tha main

ek rahzan ko amir-e-karwan samjha tha main
apni bad-bakhti ko manzil ka nishan samjha tha main

teri masumi ke sadqe meri mahrumi ki khair
ai ki tujh ko surat-e-aram-e-jaan samjha tha main

dushman-e-dil dushman-e-din dhushman-e-hosh-o-hawas
hae kis na-mehrban ko mehrban samjha tha main

dost ka dar aa gaya to khud-bakhud jhukne lagi
jis jabin ko be-niyaz-e-astan samjha tha main

qafile ka qafila hi rah mein gum kar diya
tujh ko to zalim dalil-e-rah-rawan samjha tha main

mere dil mein aa ke baithe aur yahin ke ho gae
aap ko to yusuf-e-be-karwan samjha tha main

ek darogh-e-maslahat-amez tha tera suluk
ye haqiqat thi magar ye bhi kahan samjha tha main

zindagi inam-e-qudrat hi sahi lekin ise
kya ghalat samjha agar yar-e-garan samjha tha main

pher tha qismat ka wo chakkar tha mere panw ka
jis ko 'shoala' gardish-e-haft-asman samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close