ek raushni ka zahr tha jo aankh bhar gaya har daera wo soch ka mafluj kar gaya thi aaqibat ki khamushi tanhaiyon ki chikh duniya ye kah rahi thi mera waqt mar gaya jo shahr-e-dard mein tha ghani chhanw ka shajar kuchh dhup thi kadi ki khala mein utar gaya kya lutf-e-tishnagi tha mujhe kuchh khabar nahin kitne samundaron se main pyasa guzar gaya kar ke jo barahna mujhe ghairon ki bhid mein wo mera dard-e-zindagi jaane kidhar gaya ye ajnabi se log ye anjaan sa jahan apne wajud se hi main shayad guzar gaya