ek roz main bhi bagh-e-adan ko nikal gaya todi jo shakh-e-rang-fishan hath jal gaya diwar o saqf o baam nae lag rahe hain sab ye shahr chand roz main kitna badal gaya main so raha tha aur meri khwab-gah mein ek azhdaha charagh ki lau ko nigal gaya bachpan ki nind tut gai us ki chap se mere labon se naghma-e-subh-e-azal gaya tanhai ke alao se raushan hua makan 'sarwat' jo dil ka dard tha naghmon mein dhal gaya