ek saen saen ghere hai girte makan ko

ek saen saen ghere hai girte makan ko
aur aankhen takti hain chamakti chatan ko

chadhte hi mere ho gai diwar se alag
hasrat se dekhta hun usi nardban ko

andeshe dur dur ke nazdik ka safar
kashti ko dekhta hun kabhi baadban ko

zindan-e-roz-o-shab mein hai hum sab ko umr-qaid
koi bachae aa ke mere khandan ko

yaadon ke shor-o-ghul mein khadi ghar ki khamoshi
aawaz de rahi hai kisi mehrban ko

barson se ghumta hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasman ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close