ek safar hota raha aur ruk gai main chal raha tha rasta aur ruk gai main ishq tha donon ko fitrat mukhtalif thi wo bhatakta hi raha aur ruk gai main har dafa aawaz sun kar main palat di phir na jaane kya hua aur ruk gai main yaad ke lamhe mein ek arsa bitaya waqt aankhon se baha aur ruk gai main lams ka kaisa asar sanson pe hoga khel mein us ne chhua aur ruk gai main is qadar aankhon se us ko pi liya tha mujh mein wo bahta raha aur ruk gai main ja rahi thi chhod kar kirdar apna nam aaya aap ka aur ruk gai main