ek sajda khush-gulu ke aage sahwan ho gaya us pe koi mo'tariz hoga to qasdan ho gaya kufr ka fatwa hua sadir to khush-qismat tha main tazkira mera bhi har masjid mein zimnan ho gaya aanan-fanan mein kisi ne dast-giri ki meri kaam tha mushkil ka ahlan aur sahlan ho gaya tauan-o-karhan badhate hain mulaqaton ko hath sab se yarana mera mauquf qatan ho gaya khwab hi is bar dekha tha kabhi main ne jise du-badu us se tasadum ittifaqan ho gaya mustahiq jannat ka ek 'kawish' nahin wo bhi to hai qatl mera ek jahil se jo sharan ho gaya