ek samundar ke hawale sare KHat karta raha

ek samundar ke hawale sare khat karta raha
wo hamare sath apne gham ghalat karta raha

kya kisi badlaw se ye zindagi badli kabhi
kyun nai wo roz apni shakhsiyyat karta raha

us ki tanhai ka aalam dosto mat puchhiye
ghar ki har diwar se wo maslahat karta raha

thi khabar ab apne haq mein kuchh nahin baqi raha
jaan kar main kaghazon par dastakhat karta raha

han use shaer zamana kah raha hai in dinon
jo diwana apne gham ki tarbiyat karta raha

aaj samjha thokaron ke baad bhi hai zindagi
kyun ata mujh ko 'musafir' ye sifat karta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close