ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai

ek shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai
baqi jo talluq hai wo tohmat ki tarah hai

kya jaaniye kis lamha ye hathon se phisal jae
ek rishta jo nadar ki ghairat ki tarah hai

dekhun to sahi hoti hai kya wasl ki tausia
ab hijr tera meri zarurat ki tarah hai

ek sabz sa nuqta ye batata hai ki hai wo
ab us se mulaqat alamat ki tarah hai

ek surat-e-mauhum ki zinda hai na murda
dekho to zamane mein qayamat ki tarah hai

lene ko hain angdai ye khwabida-o-pamal
jo sang yahan hai wo imarat ki tarah hai

aagah ki gulzar hai ek aatish-e-namrud
baqi jo hai shaddad ki jannat ki tarah hai

hai sad-qalam-e-gul se chaman-zar sahifa
aur jumbish-e-gul-barg tilawat ki tarah hai

kam marka-e-zist nahin jang-e-uhad se
asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai

kya kahiye ki khud gharq rahe is mein gale tak
kahte hue duniya ye najasat ki tarah hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close