ek surat to hai jo us ne mohabbat ki hai baat jazbe ki hai ya baat zarurat ki hai wo bhi kaisa hai kasak dil ki samajhta hi nahin main bhi kaisa hun na shikwa na shikayat ki hai hausla haar diya jald hi main ne apna chhod dene mein zara us ne bhi ujlat ki hai kya sitam hai ki bahaaron ke hasin mausam mein hum parindon ne tere shahr se hijrat ki hai kuchh nami si meri aankhon mein umand aati hai jab kahe koi ki main ne bhi mohabbat ki hai chahe sara hi zamana hai mukhalif us ka phir bhi 'ariz' ne faqat us ki himayat ki hai