ek taq mein hun jaise rakkha hua akela jalta hua akela bujhta hua akela kab tak karega mujh mein aabaad ek jahan ko shakhon mein ek parinda baitha hua akela badhta raha main aage hatta raha main pichhe din bhar yunhi hawa se ladta hua akela aankhon se us ki tapka kab tak wahan main rahta ban jaunga samundar bahta hua akela warna tabib sare mushkil mein pad gae the ahbab se bacha to achchha hua akela ye ishq hai samundar phaila hua jahan mein mujh sa hai ek musafir bhatka hua akela dariya se mil ke dariya banta raha hai qatra aankhon se gir ke aansu tara hua akela khidki se main ne bahar dekha hai ek musafir dahliz par wo baitha bhiga hua akela