ek tere sath wafa karne ki tayyari mein din guzarte rahe auron ki wafadari mein mere hone pe hai ehsas-e-khuda ki buniyaad khak ka hona zaruri hai shajar-kari mein shakh se shakh lipatti hai hawa chalne par sar pe chhat aam nazar aati nahin yari mein kahin aisa na ho bulbul ki nazar bhi pad jae phul ne phul ko dekha nahin hushyari mein kun hata aur faya-kun ka koi matlab na raha ye ana hoti hai fankar ki fankari mein tujh ko tartib lagate hue is dhyan mein hun kaun sa dukh hai jo rakkha nahin almari mein