ek tufan ka saman bani hai koi chiz aisa lagta hai kahin chhut gai hai koi chiz sab ko ek sath bahae liye jata hai ye sail wo talatum hai ki achchhi na buri hai koi chiz ek main kya ki mah o sal ude jate hain ai hawa tujh se zamane mein bachi hai koi chiz ishq ne khud rukh-e-gulnar ko bakhsha hai farogh warna kab apne banae se bani hai koi chiz yani zakhmon ke gulistan pe bahaar aa gai phir yani ab bhi meri aashufta-sari hai koi chiz shairi kya hai mujhe bhi nahin malum magar log kahte hain ki ye dil ki lagi hai koi chiz