ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin ji mein aata hai ulat den un ke chehre se naqab hausla karte hain lekin hausla hota nahin shama jis ki aabru par jaan de de jhum kar wo patinga jal to jata hai fana hota nahin ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazara band hai ab to un ka taur par bhi samna hota nahin har shanawar ko nahin milta talatum se khiraj har safine ka muhafiz nakhuda hota nahin har bhikari pa nahin sakta maqam-e-khwajgi har kas-o-na-kas ko tera gham ata hota nahin hae ye beganagi apni nahin mujh ko khabar hae ye aalam ki to dil se juda hota nahin barha dekha hai sagar rahguzar ishq mein karwan ke sath aksar rahnuma hota nahin
This is a great ibrahim sagar shayari. True lovers of bhikari funny shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this khwaja shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!