ek wo bhi waqt kya khub rahe hain miyan khwab ki ab aankhon mein dub rahe hain miyan aisa nahin hai faqat hijr ka charcha hua wasl se bhi pahle mansub rahe hain miyan lafz tere husn ki tarah hasin lafz dost shairi karne ko matlub rahe hain miyan hijr ke hami to donon hi nahin the magar wasl mein bhi hum ki mayub rahe hain miyan kis liye hum aison ki tujh ko zarurat nahin pahle to hum aise mahbub rahe hain miyan